Roman script

paas baitho tabiyat bahal jaayegi

maut bhi aa gayi ho to tal jaayegi

paas baitho tabiyat bahal jaayegi

maut bhi aa gayi ho to tal jaayegi

dhaar kaajal ki tum aur tikhi karo

maang hotho ki mithi hasi se bharo

jindagi jhumne par machal jaayegi

maut bhi aa gayi ho to tal jaayegi

paas baitho tabiyat bahal jaayegi

maut bhi aa gayi ho to tal jaayegi

hamne maana ke chhaayi hain kaali ghata

gore gaalo se gesu hata do jara

is andhere me ek shamma jal jaayegi

maut bhi aa gayi ho to tal jaayegi

paas baitho tabiyat bahal jaayegi

maut bhi aa gayi ho to tal jaayegi

gam ne chheda hame, tum naa chheda karo

jo tumhaare hai unse naa parda karo

muskura do tamanna nikal jaayegi

maut bhi aa gayi ho to tal jaayegi

paas baitho tabiyat bahal jaayegi

maut bhi aa gayi ho to tal jaayegi

Explore this song