Roman script

sukhe sukhe gaao hai

sukhi si ab chhao hai

sukhi maati sukha hai ab hal

sukhe sapne sukha hai ab kal

itni si ye kahani hai

banjar ye zindgani hai

bas aankho me ab paani hai

bas aankho me ab paani hai, paani hai

bharta jo thali hamari, kyu wo bhukha hai

kab huye khali ye dil, kyu des chuka hai

bharta jo thali hamari, kyu wo bhukha hai

kab huye khali ye dil, kyu des chuka hai

laal fittashahi hai, le chuki sab syahi hai

bas jaan hi ab jaani hai

bas aankho me ab paani hai, paani hai

uga uga anaaj, khud raate khali pet guzari hai

jaan gava ke chuk rahi chand rupyo ki udhari hai

kaha kho gaye hum, bhule apne hi bhai ko

aao insaniyat ki ugaaye fasal

ab hamari baari hai, ab hamari baari hai

Explore this song