Roman script

om hari om 

hari sumiran sukhdayi sukhdayi 

hari sumiran sukhdayi sukhdayi 

hari sumiran sukhdayi

paap vinashini puja prabhu ki 

paap vinashini puja prabhu ki 

bhakti mein shakti samaayi 

hari sumiran sukhdayi sukhdayi 

hari sumiran sukhdayi

hiranyaaksh ne har ke hatho maar ke mukti payi

hua asur samrat hirankashyap uska ladhu bhai

putr hirankashyap ka tha pahlaad sabhi ka pyara 

jiske man mein bahi param paawan hari bhakti ki dhaara 

ho gaye pryatn sabhi nishphal pahlaad ka aant na ho paya 

apne bete ka vadh karne tab svyam hirankashyap aaya

kan kan mein hari samaye hai we bina bulaye aate hai 

kan kan mein hari samaye hai we bina bulaye aate hai 

bhakton par jab sankat aata we wahi prakat ho jate hai 

bhajman narayan bhajman narayan narayan hari hari 

narayan narayan hari hari 

danavpati parhlaad par karne chala prhaar 

tabhi khamb ko chirkar hua nrisingha awtaar

na pashu hai na manushay hai vichitr ye rahsay hai 

vichitr ye rahsay hai 

na astr hai na sastr hai nrisingh prabhu nirastr hai 

nrisingh prabhu nirastr hai 

na din ahi aur na raat hai tumir aur jyoti sath hai 

na sury chandr ki kiran na jal na thal na hai gagan 

na jal na thal na hai gagan 

vasundhara ke vaksh si deh ri pitaksh ki 

apni chaal pe rakha sharir daanvendar ka 

nakhu se vaksh phaad ke nakhu se vaksh phaad ke 

hirankashyap ka vadh kiya 

bhakat ki raksha karne jo narsingh roop dhare 

wahi prabhu dukh ke sagar se sabko paar kare 

vishnu puran sune jo koi wo bhavsindhu tare 

keshav kripa sindh karunamay jai jagdish hare 

gaao re gun gaao hari ke jo dukh door kare 

hare gaao re gun gaao hari ke jo dukh door kare 

hare jai jagdish hare hare jai jagdish hare

Explore this song