Roman script

uyi ma ha aa

uyi ma ye kya ho gaya, jane kaha dil kho gaya

pyasi ye nigahe suni suni bahe tujhko pukare piya

toba ye kya ho gaya, jane kahan dil kho gaya

tere liye jana hua mai diwana tune kya jadu kiya

uyi ma ha aa

sard sama hai dard jawa hai, aaj nase me dil ka jahan hai

aaja aaja, aaja aaja

jhum uthi hai raat kuwari kaise chupau main bekarari

yaara o yaara

haye resmi adaye na yuhi bit jaye samjho kya bole jiya

uyi ma ha aa

dhal ke jo anchal chalke jawani

dhal ke jo anchal chalke jawani mere labo ki mange nisani

aaja aaja, aaja aaja

ang lagake pyas bujhade aaj kali ko phul banade

yara o yara

ja pe ban ayi ye teri angadai tanha na jaye jiya

uyi ma ye kya ho gaya, jane kahan dil kho gaya

pyasi ye nigahe ye suni suni bahe tujhko pukare piya

toba ye kya ho gaya, jane kahan dil kho gaya

tere liye jana hua main diwana tune kya jadu kiya

uyi ma, uyi ma, uyi ma ha aa

Explore this song