Roman script

o mohna na ja radha ko chhod ke

o mohna na ja radha ko chhod ke

ke radha kaise jiye jiye to kiske liye

o mohna na ja radha ko chhod ke

preet hai meri saiya jamuna ka kinara

tuhi kinara raja tuhi sahara

ruk ja re laut aa re bansi bajiya

preet na hogi hamse dobara

ke radha kaise jiye jiye to kiske liye

o mohna na ja radha ko chhod ke

mai bani bholepan me teri diwani

tune bedardi saiya ek na mani

dil diya chupke tujhko kah bhi na payi

hotho pe aake rah gayi dil ki kahani

ke radha kaise jiye jiye to kiske liye

o mohna na ja radha ko chhod ke

jan tu lena chahe tujhko najar hai

dil to natwar mera tera hi ghar hai

jau to jau kaha thahru kaha mai

aandhi hai pichhe pichhe aage bhawar hai

ke radha kaise jiye jiye to kiske liye

o mohna na ja radha ko chhod ke

Explore this song