Roman script

oo sagar me kaisa hai shor 
chhayi hai ghata ghanghor 
ek lahar hai aati, ek lahar hai jati 
aane jane me lahar ek hi git sunati   
oo mere sajan barsat me aa
oo mere sajan barsat me aa
savan ki andheri rat me aa
oo mere sajan barsat me aa
oo mere sajan barsat me aa
oo pani re 
jhumke barsa pani re tutke barsa pani re
jhumke barsa pani re tutke barsa pani re 
savan ki, savan ki andheri rato me
mai kya janu kya hota hai 
oye mai kya janu kya hota hai    
mai roti hu dil rota hai
mai roti hu dil rota hai
aur sathi bhi badal rota hai   
barsat aayi barsat me aa
savan ki andheri rat me aa
oo mere sajan barsat me aa
oo mere sajan barsat me aa
oo pani re
pani ek kahani re aankh se bahta pani re 
pani ek kahani re aankh se bahta pani re 
tujhse teri yaad hi achhi hai
jo mujhse sharmati hi nahi 
tujhse teri yaad hi achhi hai
jo mujhse sharmati hi nahi   
tu jake kabhi aata hi nahi
tu jake kabhi aata hi nahi  
yaad aake kabhi jati hi nahi
barsat kahe barsat me aa
savan ki andheri rat me aa
oo mere sajan barsat me aa
oo mere sajan barsat me aa
savan ki andheri rat me aa
oo mere sajan barsat me aa
oo mere sajan barsat me aa
oo mere sajan barsat me aa
chhayi hai ghata ghanghor
oo sagar me kaisa hai shor

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor

actor: Meenakshi Seshadri, Mahendra Kapoor