Roman script

o maairi, o maairi

sagar me naiya hai jaise

is jag me nari hai waise

dono ki kahani hai sangharsh bhari

dono ki kahani hai sangharsh bhari

sagar me naiya hai jaise

is jag me nari hai waise

dono ki kahani hai sangharsh bhari

dono ki kahani hai sangharsh bhari

o maairi, o maairi

jo naiya majhdhar me, chhod ke majhi jaye re

wo tufani lahro me, ghiri thapede khaye re

apna parichay bete se, jo mata na kah sake

wo izzat se logo ki, basti me na rah sake

mamta ki peeda, sagar se gahri

mamta ki peeda, sagar se gahri

o maairi, o maairi

paar kare jo logo ko, usne paar nahi paya

jo sabka aadhar bani, khud aadhar nahi paya

pyar sikhaya hai jisne, uske hisse pyar nahi

jivan dene wali ko, jeene ka adhikar nahi

ye jaalim duniya, patthar ki nagri

ye jaalim duniya, patthar ki nagri

o maairi, o maairi

sagar me naiya hai jaise

is jag me nari hai waise

dono ki kahani hai sangharsh bhari

dono ki kahani hai sangharsh bhari

sagar me naiya hai jaise

is jag me nari hai waise

dono ki kahani hai sangharsh bhari

dono ki kahani hai sangharsh bhari

o maairi, o maairi

Explore this song