Roman script

o maa sherowaali, o maa shaktishaali

maa meri maa se mila de mujhe

mamata ka main waasta dun tujhe

dar se na tere jaayunga khaali

maa sheronwaali, o maa sheronwaali

o maa sheronwaali, o maa shaktishaali

maa meri maa se mila de mujhe

mamata ka main waasta dun tujhe

dar se na tere jaayunga khaali

maa sheronwaali, o maa sheronwaali 

maa chup hai beta rota hai, aisa jag mein kab hota hai 

patthar ke mandir mein rehkar 

dil bhi kya tera maa ho gaya patthar 

teri daya ko jaga dunga, rokar main tujhako rula dunga

pighalegi kab tu pahaadonwaali

maa sheronwaali, o maa sheronwaali 

sab ki maata tab tujhe maanu, mera dukh pehchaane toh jaanu 

jo na dikhaayi maa ki surat

utha le jaayunga main teri murat 

sab kuchh hai dhanwaalon ka, nirdhan ke bas maat pita

daulat yeh meri kyun tune chhupa li

maa sheronwaali, o maa sheronwaali 

apne bhakton ki tujhko kasam, dil ke sachchon ki tujhko kasam

tere bachchon ki tujhko kasam, na apno ko de ye saja

o maa sheronwaali, o maa shaktishaali

trishul tera utha lunga, charano pe sar ko chadha dunga

rang degi tujhko lahu ki laali

maa sheronwaali, o maa sheronwaali 

duri mita de, maa se mila de

ya meri maa ka roop tu dhar le, roop tu dhar le, roop tu dhar le

Explore this song