Roman script

o data paisa deta ja 

paisa deta ja masum

duaaye leta ja 

o data paisa deta ja 

jaise tere bachche pyare waise

main kisi ki pyari

kisi ki pyari

chhod gaya mujhe bapu mera

main kismat ki mari

sabka data sabko dega

kuch deta ja kuch leta ja

masum duaaye leta ja 

o data paisa deta ja 

data paisa deta ja

apne khushi se is duniya mein

koi na bane bhikhari 

bachapan mein hi bhikharin

aaj hui dukhyari 

sada sukhi rahe bachche tere 

kuch deta ja kuch leta ja

masum duaaye leta ja 

o data paisa deta ja 

data paisa deta ja

maa ki ladli ye bhi na jane

kaise hath failana hath failana

kisi ke ghar ki ijjat roye

duniya samjhe gana

gaana hi samjh kar 

sunta ja sunta ja 

o data paisa deta ja 

data paisa deta ja

Explore this song