Roman script

nuktaachi hai, gam-e-dil usko sunaaye na bane

kya bane baat jahaan baat banaaye na bane

kya bane baat jahaan baat banaaye na bane

mai bulata to hu usko magar ai jazbaa-e-dil

mai bulata to hu usko magar ai jazbaa-e-dil

us pe ban jaaye kuchh aisi

us pe ban jaaye kuchh aisi ki bin aaye na bane

us pe ban jaaye kuchh aisi ki bin aaye na bane

nuktaachi hai, gam-e-dil usko sunaaye

bojh wo sar pe gira

bojh wo sar se gira hai, ki uthaaye na uthe

kaam wo aan pada hai ke banaaye na bane

kaam wo aan pada hai ke banaaye na bane 

nuktaachi hai, gam-e-dil usko sunaaye

ishq par zor nahi

ishq par zor nahi hai ye vo aatish gaalib

ke lagaaye na lage

ke lagaaye na lage aur bujhaaye na bane

ke lagaaye na lage aur bujhaaye na bane

nuktaachi hai, gam-e-dil usko sunaaye

Explore this song