Roman script

nind se aankh khuli hai abhi dekha kya hai

dekh lena abhi kuch der me duniya kya hai

bandh rakha hai kisi sonch ne ghar se humko

warna apna dar o deewar se rishta kya hai 

nind se aankh khuli hai abhi dekha kya hai

ret ki int ki patthar ki hu ya mitti ki

ret ki int ki patthar ki hu ya mitti ki

kisi deewar ke saye ka bharosa kya hai 

nind se aankh khuli hai abhi dekha kya hai

apni daanist me samjhe koi duniya shahid

warna hatho me lakiro ke ilaawa kya hai

nind se aankh khuli hai abhi dekha kya hai

dekh lena abhi kuch der me duniya kya hai

nind se aankh khuli hai abhi dekha kya hai

Explore this song