Roman script

nind kabhi rahti thi aankho me 

ab rahte hai saanvariya, ab rahte hai saanvariya

chain kabhi rahta tha is dil me 

ab rahte hai saanvariya, ab rahte hai saanvariya

log mujhse kahe dekho udhar nikla hai chaand

kaun dekhe udhar jaane kidhar nikla hai chaand

chand kabhi rahta tha nazro me 

ab rahte hai saanvariya, ab rahte hai saanvariya

jhuth boli pavan kahne lagi aayi bahaar

ham baag me gaye dekha vaha pyaar hi pyaar

phool rahte honge chaman me kabhi 

ab rahte hai saanvariya, ab rahte hai saanvariya

baat pahle bhi aur tufaan se darte the ham

baat ab aur hai ab hai hame kaahe ka gam

saath kabhi maanjhi the sang lekin 

ab rahte hai saanvariya, ab rahte hai saanvariya

nind kabhi rahti thi aankho me 

ab rahte hai saanvariya, ab rahte hai saanvariya

Explore this song