Roman script

niche jami upar gagan 

niche jami upar gagan 

us se bhi upar hai kya

socho kabhi tum jara

ab tak koi samjha nahi

ab tak koi samjha nahi

samjhoge kaisa bhala

diwana hona hai kya

niche jami upar gagan 

us se bhi upar hai kya

socho kabhi tum jara

kyu ghumti hai jami

kyu ghume ye aasma

jamano se gardish me

sitaro ka ye kaarwan

hoga kaha pe khatam

jaari hai kabse safar

sitaro ki gardish ka hi 

hota hai humpe asar

hai suraj kai kai chandrma

sitaro se aage hai kya

socho kabhi tum jara

ab tak koi samjha nahi

samjhoge kaisa bhala

diwana hona hai kya

jara dekhiye soch kar 

kyu dunia me aaye hai hum

dhundhe mili na khushi 

gamo se hi takraye hum

jindagi jitni aage badhi

maut utni karib aa gayi

kashmkash me kati har ghadi

chain milte hi nind aa gayi

agar kashmkash ko jina kahe

to jine ka matlab hai kya

socho kabhi tum jara

ab tak koi samjha nahi

samjhoge kaisa bhala

diwana hona hai kya

hai malik ka ghar kis jagah

jaha se wo dekhe hame

deta hai hamko saja 

bura kaam jab bhi kare

pustak wo kitni badi

likhe naam sabke jaha

isharo se uske chale jiwan ka har karwa

banaye wahi mitaye wahi 

insa ki hasti hai kya

socho kabhi tum jara

ab tak koi samjha nahi

samjhoge kaisa bhala

diwana hona hai kya

Explore this song