Roman script

nazro se nazar ka takrana 

aankho me kisi ka muskana

nazro se nazar ka takrana 

aankho me kisi ka muskana

muska kar dil me utar aana

ek mitha dard sa ban jana

muska kar dil me utar aana

ek mitha dard sa ban jana

hay ban jana

kya isko mohabbat 

kya isko mohabbat kahte hain

kya iska naam mohabbat hai 

kya isko mohabbat kahte hain

nazro se nazar jab takrai

wo muskaye main sharmai

nazro se nazar jab takrai

wo muskaye main sharmai

tasvir banane wale ki 

dil me tasvir utar aai

tasvir banane wale ki 

dil me tasvir utar aai

kya isko mohabbat 

kya isko mohabbat kahte hai

kya iska naam mohabbat hai 

kya isko mohabbat kahte hai

dekho unke zanzir bane 

masum ishare tir bane

tasvir kisi ki kya lete hum

dekh ke khud tasvir bane

tasvir bane

kya isko mohabbat 

kya isko mohabbat kahte hain

kya iska naam mohabbat hai 

kya isko mohabbat kahte hain

jab sab duniya so jati hai 

khamosh faja ho jati hai

mujhe unka khayal aa jata hai

mujhe unki yaad satati hai

hay satati hai

kya isko mohabbat 

kya isko mohabbat kahte hain

kya iska naam mohabbat hai 

kya isko mohabbat kahte hain

Explore this song