Roman script

nazar mila ke nazar churana 

naya tarika ye pyar ka hai

aji na aise me ruth jana ki 

aaj mausam bahar ka hai

nazar mila ke nazar churana 

naya tarika ye pyar ka hai

ye do hi din me badal sa jana

kaha se sikha yu dil lagana

hume bhi aata hai ruth jana

sawal lekin karar ka hai

aji na aise me ruth jana ki 

aaj mausam bahar ka hai

tumhe nahi par hame khabar hai

wafa me apni bada asar hai

jo khich layi hai pas tumko

asar ye dil ki pukar ka hai

aji na aise me ruth jana ki 

aaj mausam bahar ka hai

chalo ji itna hume batao

kasam humari jo tum chupao

ye yad kis ki sata rahi hai

khyal kis bekarar ka hai

aji na aise me ruth jana ke 

aaj mausam bahar ka hai

Explore this song