Roman script

nav kalpana nav rup se rachna rachi jab naar ki

nav kalpana nav rup se rachna rachi jab naar ki

satyam shivam sundaram se shobha badhi sansaar ki

nav kalpana

kala ki dasi kaamini solah kala paripurn hai

kala ki dasi kaamini solah kala paripurn hai

vishva me vish kanya ke ye naam se prasidh hai

naam se prasidh hai haav bhav anubhav se

seva kare bhagavan ki nav kalpana 

chandrama sau mukh salono shyam varna kesh hai

chandrama sau mukh salono shyam varna kesh hai

naino se mriganayani hai vani madhur uchharati

vani madhur uchharati nritya gan trigdhan puja

inka dharam hai aarti nav kalpana 

dev lok ki devdasi sundar rup lubhavani

dev lok ki devdasi sundar rup lubhavani

solah shigar suhavani solah shigar suhavani

shankh damru jhanjh jhalar nupur dhvani manmohani

nav kalpana nav rup se rachna rachi jab naar ki

nav kalpana

Explore this song