Roman script

suno gaur se suno gaur se tum natnaagar ki hai saari leela

suno gaur se suno gaur se tum natnaagar ki hai saari leela

kaaragar mein janm liya laal devaki ka

mushkil mein paran fasa maiya thi laachaar

kans maama ko khabar lagi ho gaya chamtkaar

toot gayi hathkadiya khul gaye saare dwaar

chali raah phir chaali raah aage natnaagar ki hai saari leela

le ke chale tokari mein pita vaasudev

pag chhune chadhane lage jamuna nadi ke dhaar

thamane ka naam na le baarish ki raftaar

chhaaya bani kab aake sheshnaag fankaar

huwi paar phir jamuna ke tat se natnaagar ki hai saari leela

maa ka roop dharke putna aayi dudh pilaane

maayavi ki maaya bujh gaye krishna

shyaam apani chaturaayi se karde kuchh aisa

vadh karke daayan ka bujha diye trishna

koyi na jaane antaryaami ko natnaagar ki hai saari leela

bachpan ki chaaya mein khola divyalalaat

khel khel mein dikhlaaya maa ko roop viraat

yashomati maiya ne kaanha ko pehchaana

ishwar ki maaya ko tab jaake jaana

sakal vishwa ko khud mein chhipaaya hai

natnaagar ki hai saari leela

gopiyo sang raas racha  raas rachaiya ne

chir haran chhupake kiya krishna kanhaiya ne

maakhan ki chori mein pakada maiya ne

bansi ki dhun sunake naacha gaiya ne

prem raag se sabko hai baandha natnaagar ki hai saari leela

kaale naag ne ghera ghir gaye saare sankat mein

sab gyaata giridhar ne kuchh aisa kaam kiya

har bhay se har chinta se janmann ko dur kiya

govardhan parwat ko ungali pe utha liya

bana di anhoni ko bhi honi natnaagar ki hai saari leela

suno gaur se suno gaur se tum natnaagar ki hai saari leela

Explore this song