Roman script

natija hamari mohabbat ka kya hai 

ye tum bhi na socho ye hum bhi na soche

natija hamari mohabbat ka kya hai 

ye tum bhi na socho ye hum bhi na soche

ye dil ka lagana bura ya bhala hai 

ye tum bhi na socho ye hum bhi na soche

badi moqtsar hai mulakat apni

magar kah gaya hai dil har ek bat apni 

badi moqtsar hai mulakat apni

magar kah gaya hai dil har ek bat apni

yuhi kyu na gujare ye din rat apne

haqiqat bane kyu na ghadi bhar ke sapne 

kabhi kabhi aisa bhi to hota hota raha hai 

tumhari aada ya hamari ada hai

ye tum bhi na socho ye hum bhi na soche

ye dil ka lagana bura ya bhala hai 

ye tum bhi na socho ye hum bhi na soche

bahut mere dil ke karib aa gai ho  

nasha ban ke aankho par meri cha gai ho 

pata kuch nahi hai ye kya zindagi hai 

magar aisa lagta hai ki jannat yei hai

kabhi kabhi aisa bhi to hota raha hai 

tumhari wafa ya hamari wafa hai 

ye tum bhi na socho ye hum bhi na soche

natija hamari mohabbat ka hai 

ye tum bhi na socho ye hum bhi na soche

ye dil ka lagana bura ya bhala hai 

ye tum bhi na socho ye hum bhi na soche

behki hui hai jab ye fizayein 

kaise na hongi akhir hamse khatayein

behki hui hai jab ye fizayein 

kaise na hongi akhir hamse khatayein

lage jhumne jab kali ghataye 

aise mein kyu na kadam dagmagaye 

kabhi kabhi aisa bhi to hota raha hai 

tumhari khata ya hamari khata hai 

ye tum bhi na socho ye hum bhi na soche

ye dil ka lagana bura ya bhala hai 

ye tum bhi na socho ye hum bhi na soche

Explore this song