Roman script
veer pita ki veer kumari laad pyar se thi jo paali babul ka ghar chhod ke haali ab apne sasural chali aaj vidaai ki bela aan di usko uphar beti ke hatho mein saupi dekho ek kataar ye kataar ki dhaar kisi ke karm khun ki hai pyasi yaad dilane chali amar partigya chali amar ki ye dasi chingari ab sulag uthi chingari ab sulag uthi hai naari ke apmaan ki ham tumhe sunate hai katha bharat ke rajsthan ki jai jai rajsthan jai bharat ki shaan jai jai rajsthan jai bharat ki shaan
Song details
- Film / album: Amar Singh Rathod (1957)
- Composer: Sanmukh Babu
- Lyricist: Bharat Vyas
- Actor: Jairaj
- Actor: Nirupa Roy
- Actor: Murad
- Actor: Veena
- Actor: Ramesh Sinha
- Actor: Raaj Kumar
- Actor: Helen
- Actor: Nasir