Roman script

jai ho jai ho shankara bholenath shankara

aadi dev shankara he shivay shankara

tere jaap ke bina bholenath shankara

chale ye sanse kis tarah he shivay shankara

mera karm tu hi jane kya bura hai kya bhala

tere raste pe mai to aankh mund ke chala

tere naam ki jot ne sara har liya tamas mera

namo namo hey shankara bholenath shankara

jai triloknath shambhu he shivay shankara

namo namo hey shankara bholenath shankara

rudradev he maheshvarah

srishti ke janam se bhi pehle tera vaas tha

ye jag rahe ya na rahe rahegi teri aastha

kya samay kya pralay dono me teri mahanta

mahanta mahanta

namo namo ji shankara bholenath shankara

jai triloknath shambhu he shivay shankara

namo namo ji shankara bholenath shankara

rudradev he maheshvarah rudradev he maheshvarah

Explore this song