Roman script

jise banaya tha data ne dharti ka wardan re

jise banaya tha mali ne sach much hi insan re

nafrat ki ek hi thokar ne ye kya se kya kar dala re

ye kya se kya kar dala re kya se kya kar dala 

apne hi lahu ka pyasa hai apne hi lahu ka pyasa hai

nafrat ko mitane wala re nafrat ko mitane wala re

kya se kya kar dala nafrat ki ek hi thokar ne 

makhan ki rah jiska man tha fagun ki tarah jo khilta tha

sawan ki tarah jo chalta tha badal ki tarah jo lipatta tha

barud ne aise fariste ko barud ne ha fariste ko

rang dala kitna kala re rang dala kitna kala re

kya se kya kar dala nafrat ki ek hi thokar ne 

ye apna paraya bhul gaya ye apna paraya bhul gaya 

bas khun ki holi yaad rahi ise khun ki holi yaad rahi 

dulhan ka dola bhul gaya dulhan ka dola bhul gaya

bas maut ki soli yaad rahi ise bas maut ki soli yaad rahi

awtar fariste bhul gaya awtar fariste bhul gaya

nafrat ko mitane wala re nafrat ko mitane wala re

ye kya se kya kar dala nafrat ki ek hi thokar ne 

insan ke yahi agar tewar hai to pyar ka akhir kya hoga

insan pe dharti mata ke upkar ka akhir kya hoga

ab kaun hai malik tere siwa ab kaun hai malik tere siwa

is dunia ka rakhwala re is dunia ka rakhwala re

nafrat ki ek hi thokar ne ye kya se kya kar dala re

ye kya se kya kar dala re kya se kya kar dala re

Explore this song