Roman script

nachungi main aaj nachungi aise 
gaungi main aaj gaungi aise 
dekhegi ye duniya 
manegi ye duniya
prit meri sanchi re 
nachungi main aaj nachungi aise
pyar apna hai khuda 
iske diwane hai hum 
mitne denge na wafa 
jalte parwane hai hum 
jab tak jaan me jaan nachungi aise 
sanso me sans gaungi aise 
dekhegi ye duniya 
manegi ye duniya
prit meri sanchi re 
nachungi main aaj nachungi aise
julm ki par nahi 
ab mit jayega wo 
ab garibo ko lahu 
rang dikhlayega wo 
aahon ka hisab main lungi aise 
aansu ka jawab main lungi aise 
dekhegi ye duniya 
manegi ye duniya
prit meri sanchi re 
nachungi main aaj nachungi aise

Song details

Song video

Watch on YouTube