Roman script

naav chali

naani ki naav chali

nina ke naani ki naav chali

lambe safar pe

saman ghar se nikale gaye

naani ke ghar se nikale gaye

idhar se udhar se se nikale gaye

aur naani ki naav me daale gaye

kya kya daale gaye

ek chhadi ek ghadi

ek jhadu ek laadu

ek sanduk ek banduk

ek salwar ek talwar

ek ghode ki jin

ek dholak ke bin

ek ghode ki naal

ek jivar ka jaal

ek lahsun ek aalu

ek tota ek bhalu

ek dora ek dori

ek bora ek bori

ek danda ek jhanda

ek handa ek anda

ek kela ek aam ek pakka ek kaccha

aur tokari me ek billi ka baccha

phir ek magar ne pichha kiya

naani ki naav ka pichha kiya

nina ke naani ki naav ka pichha kiya

phir kya hua

chupke se pichhe se

upar se niche se

ek ek saman khich liya

ek billi ka baccha

ek kela ek aam ek pakka ek kaccha

ek bora ek bori 

ek dora ek dori

ek tota ek bhalu

ek lahsun ek aalu

ek jivar ka jaal

ek ghode ki naal

ek dholak ke bin

ek ghode ki jaan

ek talwar ek salwar

ek banduk ek sanduk

ek laadu ek jhadu

ek chhadi ek ghadi

magar naani kya kar rahi thi

naani thi bechari buddhi bahri

nina ki naani thi buddhi bahri

naani ki nind thi itni gahri

itni gahri, kitti gahari

nadiya se gahri

din dopahari, raat ki rani

thanda pani, garam masala

pet me dala, saade sola

pandhra ka pandhra duna tees

tiya paitalish chauke sath

pauna pacchtar chakke nabbe

sathi pichhla nati pisa

number btisa, gale me rassa

Explore this song