Roman script

prem ki jogan dar pe aayi bigdi meri bana di

ya to saje sapno ki doli ya phir chita sajade

nam tera bhale ho kanhaiya bada nam tera bhale ho kanhaiya bada

aaj jo ji me aaya wo kah jaungi kaha jaungi

tune radha ko tadpa diya umar bhar

tune radha ko tadpa diya umar bhar

mai to radha nahi hu jo sah jaungi

nam tera bhale ho kanhaiya bada

hum to tujhko pukara kiye rat din

hum to tujhko pukara kiye rat din

tujhko pathar se parmatma kar diya

phul charno me tere chadaye bahut

mere daman ko kaato se kyu bhar diya

aaj dar pe tere

aaj dar pe tere aasuo me mere 

tu bhi bah jayega mai bhi bah jaungi bah jaungi

mai to radha nahi hu jo sah jaugi sah jaungi

nam tera bhale ho kanhaiya bada

meri saridha ka ye tar tute nahi

meri saridha ka ye tar tute nahi

aaj kah de ke sachmuch hi iswar hai tu

tujhme heere ke jaisi hai sachi chamak

ya bata de ke sirf pathar hai tu aan meri prabhu

aan meri prabhu na bachayega tu

tu hai pathar ye dunia se kah jaungi kah jaungi

mai to radha nahi hu jo sah jaugi sah jaungi

nam tera bhale ho kanhaiya bada

aaj jo ji me aaya wo kah jaungi kah jaungi

o kanhaiya o kanhaiya o kanhaiya o kanhaiya

Explore this song