Roman script

naadaa hai ye nazar duniya se bekhabar

karti hai ye safar le asar

halki halki bekhudi ka

naadaa hai ye nazar lahron si laut kar

aati hai tere dar le asar khumaar ka

yun hi jo talab hai haaye kya ghazab hai

ye mitaane se mite naa

baazi jo lagaaun khud hi

haar jaaun tujhse jeetun kya

mere hi bas mein naa ye

silsila naadaa hai ye nazar

lahron si laut kar

aati hai tere dar le asar khumaar ka

ittefaaq hai ya hai naseeb mera

mehfilon mein teri hun main

ye musafiri jo farz hai

mera to raazi hun main

aankhon ka tu aakhri khaab hai

naadaa hai ye nazar duniya se bekhabar

karti hai ye safar le asar halki halki bekhudi ka

naadaa hai ye nazar lahron si laut kar

aati hai tere dar le asar khumaar ka

Explore this song