Roman script

na tel aur na bati na kabu hava par

diye kyon jalaye chala ja raha hai

ujalo ko tere siyahi ne ghera

nigal jayega roshni ko andhera

chirago ki lau par dhuwa cha raha hai

diye kyon jalaye chala ja raha hai

na tel aur na bati na kabu hava par

diye kyon jalaye chala ja raha hai

na de dosh bhagvan ko bhole bhale

khushi ki tamanna me gam tune pale

tu apne kiye ki saja pa raha hai

diye kyon jalaye chala ja raha hai

na tel aur na bati na kabu hava par

diye kyon jalaye chala ja raha hai

teri bhul par kal yah duniya hasegi

nishani har ek dag bankar rahegi

tu bharne ki khatir mita ja raha hai

diye kyon jalaye chala ja raha hai

na tel aur na bati na kabu hava par

diye kyon jalaye chala ja raha hai

Explore this song