Roman script

mana kiya tha labon ko apne ke naam tera le na kabhi

roka bahut ke ye chehra tera khwabon ko apne de na kabhi

kuch nahi hai pehle jaisa aaj kal sab naya hai

kuch alag sa lag raha hai ye jo hai silsila

na chah ke bhi na jane kyun tera ho gaya

na chah ke bhi na jane kyun tera ho gaya

thoda thoda karte dekho sare huve tumhare hum

mithe mithe hone lage pehle to haan the khare hum

mai kora sa kagaz jiski syahi tu hi

padhte hai sab mujhko aao tum bhi padho na

kabhi hota na tha jane kyun ho gaya

na chah ke bhi na jane kyun tera ho gaya

Explore this song