Roman script

teri mohabbat pe shak nahi hai teri wafao ko maanta hu

magar tujhe kiski aarju hai main ye hakikat bhi jaanta hu

na aadami ka koyi bharosa na dosti ka koyi thikana

wafaa kaa badalaa hain bewafayi ajab jamana hain yeh jamana

na aadami ka koyi bharosa

na husn me ab wo dilakashi hai na ishk me ab woh jindagi hai

jidhar nigahe uthake dekho sitam hain dhokha hain berukhi hai

badal gaye jindagi ke nagame bikhar gayaa pyaar kaa tarana

badal gaye jindagi ke nagame bikhar gaya pyaar kaa tarana

na aadami ka koyi bharosa

dawa ka badale me jeher de do utaar do mere dil me khanjar

lahu se sincha tha jis chaman ko uge hain shole ussi ke andar

mere hi ghar ke charaag ne khud jala diya mera aashiyana

mere hi ghar ke charaag ne khud jala diya mera aashiyana

na aadami ka koi bharosa na dosti ka koi thikana

wafaa kaa badala hain bewafayi ajab jamana hain yeh jamana

Explore this song