Roman script

sur taal ki baat hi kya, nau ras yeh kar de bayaan

iss mein hai junoon, iss mein hai khushi

yeh naa ko kar de haan

sangeet bina jeevan mein maza na aaye

sangeet kahe sangeet hi sab farmaaye

music hi hai, mann ko mehkaaye, music hi hai

padhna likhna tujhe na bhaaye hai, bhaaye hai

music na naukri dilaaye hai

nadaan hai tu abhi yeh jaane kya maane kya

bas kar de behas yeh tu

chutpan hai teri abhi baaton mein baaton mein

nanha sa thappad khaayega tu

labzon mein saara jahan, iss se chalti duniya

tu gyaan badha babu ban ja, jaane de sa re ga ma pa

padh itna ki maa naaz se sar ko uthaaye

woh ban ja ki maa khushi se jhoomti jaaye

shiksha hi hai, jag ko hai chalaaye, shiksha hi hai

sangeet se sab chalta hai, sangeet se rab manta hai

hai iss mein aisa jaadu, hai iss mein aisa jaadu

beatles ko sun le maa tu, tak dhin ta kar le zara tu

yeh dua toh kahin dawa hai

sur mein bhi raam ko paa tu

aye meri maa aye meri maa

sangeet ki boli samjhe saari duniya

aye meri maa aye meri maa

sangeet woh nasha jo jaga de armaan

khushi dilaaye gham yeh mitaaye

masti mauj mein duba hi jaaye

zameen pe hi jannat dikhlaaye

teri baat mein hai dum toh, music bhaaye sab ko

tu jeeta main haari, sangeet mein dum bhaari

sangeet bina jeevan mein maza na aaye

sangeet kahe sangeet hi sab farmaaye

music hi hai, mann ko mehkaaye, music hi hai

music hi hai, mann ko mehkaaye 

music hi hai, mann ko mehkaaye 

music hi hai, mann ko mehkaaye

Explore this song