Roman script

munh ki baat sune har koi

dil ke dard ko jane kaun

munh ki baat sune har koi

dil ke dard ko jane kaun

aawazo ke baazaro me 

khamoshi pahchane kaun

aawazo ke baazaro me 

khamoshi pahchane kaun

munh ki baat sune har koi

sadiyo sadiyo wahi tamasha

rasta rasta lambi khoj

sadiyo sadiyo wahi tamasha

rasta rasta lambi khoj

lekin jab ham mil jaate hai

kho jata hai jaane kaun

lekin jab ham mil jaate hai

kho jata hai jaane kaun

aawazo ke baazaro me 

khamoshi pahchane kaun

munh ki baat sune har koi

wo mera aaina hai ya main

uski parchhai hu

wo mera aaina hai ya main

uski parchhai hu

mere hi ghar mein rahta hai

mujh jaisa hi jaane kaun

aawazo ke baazaro me 

khamoshi pahchane kaun

munh ki baat sune har koi

kiran kiran alsa sa suraj

palak palak khulti ninde

kiran kiran alsa sa suraj

palak palak khulti ninde

dhire dhire pighal raha hai

zarra zarra jaane kaun

munh ki baat sune har koi

dil ke dard ko jane kaun

aawazo ke baazaro me 

khamoshi pahchane kaun

aawazo ke baazaro me 

khamoshi pahchane kaun

munh ki baat sune har koi

Explore this song