Roman script

imaan ko bekaar na kar du ya rab

is jeene ko dushwar na kar du ya rab

is khauf se har shaam ko pee leta hu

main khud se bhi inkaar na kar du ya rab

peene de mujhe bhar de mera paimana

duniya to hain ek uljha hua afsaana

jab tak mujhe maalum na ye ho jaaye

main aaya kahan se hu, kahan hain jaana

mujh se mera kya rishta hai

mujh se mera kya rishta hai

har ek rishta bhul gaya

itne aaine dekhe hain 

apna chehra bhul gaya

mujh se mera kya rishta hai

ab to ye bhi yaad nahi hai

farq tha kitna dono me

ab to ye bhi yaad nahi hai

farq tha kitna dono me

us ki baatein yaad rahi

us ki baatein yaad rahi 

aur uska lehja bhul gaya

itne aaine dekhe hain 

apna chehra bhul gaya

mujh se mera kya rishta hai

pyasi dharti ke hothon per

mera naam nahi to kya

pyasi dharti ke hothon per

mera naam nahi to kya

main wo baadal ka tukda hu

main wo baadal ka tukda hu

jis ko dariya bhul gaya

itne aaine dekhe hain 

apna chehra bhul gaya

mujh se mera kya rishta hai

duniya wale kuch bhi kahein

rashid apni majburi hain

duniya wale kuch bhi kahein

rashid apni majburi hain

uski gali jab yaad aayi hain

uski gali jab yaad aayi hain

ghar ka rasta bhul gaya

itne aaine dekhe hain 

apna chehra bhul gaya

mujh se mera kya rishta hai

har ek rishta bhul gaya

mujh se mera kya rishta hai

har ek rishta bhul gaya

mujh se mera kya rishta hai

Explore this song