Roman script

mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi 

jab mere bachpan ke din the, chaand mein pariyaan rahti thi

mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi

ek ye din jab apnon ne bhi hamse naataa tod liyaa

ek vo din jab ped ki shaakhen bojh hamaaraa sahti thi

mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi

ek ye din jab saari sadken roothi roothi lagti hain 

ek vo din jab aao khelen saari galiyaan kahti thi

mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi

ek ye din jab jaagi raaten deevaaron ko takti hain 

ek vo din jab shaamon ki bhi palken bojhal rahti thi

mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi

ek ye din jab laakhon gham aur kaal padaa hai aansoo kaa

ek vo din jab ek zaraa si baat pe nadiyaan bahti thi

mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi

jab mere bachpan ke din the chaand mein pariyaan rahti thi

mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi

Explore this song