Roman script

mujhe bhul jaana agar ho sake, mujhe bhul jaana agar ho sake

na phir yad aana agar ho sake

mujhe bhul jaana agar ho sake, mujhe bhul jaana

mera pyar gujare jamane ki hai baat

mera pyar gujare jamane ki hai baat

rahe yad kyon bhul jane ki baat

nahi koyi aansu bahane ki baat

na aansu bahaana agar ho sake

mujhe bhul jaana agar ho sake, mujhe bhul jaana

mujhe maaf karana mere hamsafar

mujhe maaf karana mere hamsafar

kahi kho gaya mai tumhe chhod  kar

tumhe maine aansu diye hain magar

sada muskaraana agar ho sake

mujhe bhul jaana agar ho sake

na phir yad aana agar ho sake

mujhe bhul jaana agar ho sake, mujhe bhul jaana

Explore this song