Roman script

dur har aeb-o-naksh karti hain

ruh mein dhal ke raksh karti hain

may se aata hain khubiyo par nikhaar

may to tehzeeb-e-shakhs karti hain

akal mat kho bawaqt maynoshi

pee magar is kadar ke, mast na ho

aadmi ka dukha na dil peekar

hosh ke wartabe se pst na ho

mujh jaisa kaun sharabi

mujh jaisa kaun sharabi

meri ada juda hain sabse

mujh jaisa kaun sharabi

meri ada juda hain sabse

mera nasha galat nahi hain

mera nasha juda hain sabse

mera nasha juda hain sabse

mujh jaisa kaun sharabi

meri ada juda hain sabse

ek roj khula darwaza

aur daulat ghar mein aayi

ek roj khula darwaza

aur daulat ghar mein aayi

mera hosh laga tharrane

yu usne aankh milaayi

mere dil ne kaha sun pagle

mere dil ne kaha sun pagle

ye aehre wafa do din ka

ye aehre wafa do din ka

daulat ki haqiqat kya hain

daulat ki haqiqat kya hain

daulat ka nasha do din ka

mujh jaisa kaun sharabi

meri ada juda hain sabse

daulat ko jab kiya baahar

phir shohrat ghar mein aayi

daulat ko jab kiya baahar

phir shohrat ghar mein aayi

main jhum utha masti mein

li usne yu angdaai

mere dil ne kaha sun pyaare

mere dil ne kaha sun pyaare

ye saara maja do din ka

ye saara maja do din ka

shohrat ki haqiqat kya hain

shohrat ki haqiqat kya hain

shohrat ka nasha do din ka

mujh jaisa kaun sharabi

meri ada juda hain sabse

ek roj mili raste mein

taqat ki rajkumari

ek roj mili raste mein

taqat ki rajkumari

boli ke charan chhu mere

aur jeet le duniya saari

mere dil ne kaha sun baba

mere dil ne kaha sun baba

ye saara silla do din ka

ye saara silla do din ka

taqat ki haqiqat kya hain

taqat ki haqiqat kya hain

taqat ka nasha do din ka

mujh jaisa kaun sharabi

meri ada juda hain sabse

jogi ka bhesh badal kar

dil ik din ghar mein aaya

jogi ka bhesh badal kar

dil ik din ghar mein aaya

samjha na saki jo duniya

wo usne mujhe samjhaya

daulat ik ret ka ghar hain

shohrat ka mahal bhi kaccha

shohrat ka mahal bhi kaccha

insa ka pyaar ho jisme

insa ka pyaar ho jisme

bas wo hi nasha hain saccha

insa ka pyaar ho jismein

bas wo hi nasha hain saccha

mera nasha galat nahi hain

mera nasha juda hain sabse

mera nasha juda hain sabse

mujh jaisa kaun sharabi

meri ada juda hain sabse

o mera nasha juda hain sabse

o meri ada juda hain sabse

o mera nasha juda hain sabse

o meri ada juda hain sabse

Explore this song