Roman script

mohabbat aur vafa ki kis kadar tauhin ki tune

gunahagari yah masumi ke badali mol li tune

chanda kaa dil tut gaya rone lage hain sitare

dharati kaa sina kanp raha hai dekh ke julm tumhare

jhuthe pyar kaa jaal bichhaya

bhola tha panchhi jaal me aaya

jhuthe pyar kaa jaal bichhaya

bhola tha panchhi jaal me aaya

dhokhebaaj hai mad ke bhare ye

dhokhebaaj hai mad ke bhare ye

jalim naian tumhare

chanda kaa dil tut gaya rone lage hain sitare

jab tujhe duniya me laya hoga

bhagwan bhi pachhtaya hoga

neki kabhi naa bhul ke aayi 

neki kabhi naa bhul ke aayi 

jalim tere daware

chanda kaa dil tut gaya rone lage hain sitare

dharati kaa sina kanp raha hai dekh ke julm tumhare

Explore this song