Roman script

mohan ki muraliya baaje, ho sun thes jiya pe more laage

mohan ki muraliya baaje, ho sun thes jiya pe more laage

dur koyi murali ki dhun par git milan ke gaaye

jaane waale yaad me teri nind na mujhko aaye

jab chain se duniya soye, ho ek birha ka mara man jaage

mohan ki muraliya baaje, ho sun thes jiya pe more laage

raat kahe dharti par jag-mag chaandani ban kar barsu

aise me aa ke daras dikha jaa haay mai ro-ro tarsu

dil tod ke jaane waale, ho mohe kuchh nahi tujh bin saaje

mohan ki muraliya baaje, ho sun thes jiya pe more laage

luti bahaare saawan bita tut gaye wo sapne

jab se piya pardes sidhaare rahe na din wo apne

haay birha ke baadal kaale, ho chhaaya ghor andhera more aage

mohan ki muraliya baaje, ho sun thes jiya pe more laage

Explore this song