Roman script

Mohabbat badi ajeeb si cheez hai

Mohabbat zindagi ke kareeb hai

Mohabbat mein dooba hai saara jahan

Mohabbat na hoti toh hota kya yahan

Aakhir kya hota hai pyaar

Koi toh samjhaao yaar

Unsuljha sa ye sawaal

Kya hai aur kyun hai yeh pyaar

Mohabbat ek ajnabi sa khwab hai

Mohabbat jawaab tha jawaab hai

Kehte hain mohabbat hi khuda

Mohabbat hi jahaan

Mohabbat na hoti

Toh hota kya yahaan

Aakhir kya hota hai pyaar

Koi toh samjhaao yaar

Unsuljha sa ye sawaal

Kya hai aur kyun hai yeh pyaar

Kehte hain har kisi ke liye

Kisi na kisi ko banaya hai

Agar mil jaaye woh koi toh

Zindagi ne samjho gale lagaya hai

Kab milegi meri woh

Samjhayegi mujhe jo kyu

Mohabbat mein dooba hai saara jahaan

Mohabbat na hoti toh hota kya yahaan

Aakhir kya hota hai pyaar

Koi toh samjhao yaar

Unsuljha se ye sawaal

Kya hai aur kyun hai ye pyaar

Explore this song