Roman script

mandir se ya masjid se 

ya to girjaghar se

o dharti se ya ambar se

ya puchho banda parwar se

puchho banda parwar se

mohabbat ko kiski lagi baduaa

mohabbat ko kiski lagi baduaa

kabhi do dilo ka milan na hua

mohabbat ko kiski lagi baduaa

aaye dilo se milan ki sadaye

aankhe nihare mohabbat ki raahe

kaate kate na judai ki raate

bahut yaad aaye, mohabbat ki baate

bahut yaad aaye, mohabbat ki baate

mohabbat ko kiski lagi baduaa

kabhi do dilo ka milan na hua

mohabbat ko kiski lagi baduaa

na puchho diwano ka hai haal kaisa

ek pal gujrta hai sau saal jaisa

meharbani itni mere khuda kar

hume maut dede, magar na juda kar

hume maut dede, magar na juda kar

mohabbat ko kiski lagi baduaa

kabhi do dilo ka milan na hua

mohabbat ko kiski lagi baduaa

Explore this song