Roman script

mohabbat ki kitabo me, ye baat likhi hai 
aashiqo ke aage, ye sari duniya jhuki hai

maayus kyu hota hai, ae yaar zindagi se 
aaj hai gham to kal din aayenge khushi ke 
taqdeer abhi humara, imtiha le rahi hai
mohabbat ki kitabo me, ye baat likhi hai 
phul mile ya kaante, in pyar ki raaho me 
hanske hume chalna hai, dhup aur chanv me
jo himmat kabhi na hara, manzil use mili hai
mohabbat ki kitabo me, ye baat likhi hai 
aashiqo ke aage, ye sari duniya jhuki hai
mohabbat ki kitabo me, ye baat likhi hai

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Divya Bharti, Armaan Kohli