Roman script

mohabbato ka ye andaaz subah-o-shaam rahe

mohabbato ka ye andaaz subah-o-shaam rahe

bichhad bhi jaaye ho ho

bichhad bhi jaaye

to kayam, dua salaam rahe

mohabbato ka ye andaaz subah-o-shaam rahe

bichhad bhi jaaye ho ho

bichhad bhi jaaye

to kayam, dua salaam rahe

mohabbato ka ye andaaz subah-o-shaam rahe

gharo ke bich bahut duriya sahi lekin

dilo ke bich me itna na faasla rakho

gharo ke bich bahut duriya sahi lekin

dilo ke bich me itna na faasla rakho

huzur milne milane ka silsila rakho

nazar me pyaar, labo par wafa ka naam rahe

bichhad bhi jaaye ho ho

bichhad bhi jaaye

to kayam, dua salaam rahe

mohabbato ka ye andaaz subah-o-shaam rahe

ye meri aur tumhari alag alag raahe

na jaane kaun si manzil pe aake mil jaaye

ye meri aur tumhari alag alag raahe

na jaane kaun si manzil pe aake mil jaaye

phir ek baar mohabbat ke phool khil jaaye

udaas udaas nigahon mein ek payaam rahe

bichhad bhi jaaye ho ho

bichhad bhi jaaye

to kayam, dua salaam rahe

mohabbato ka ye andaaz subah-o-shaam rahe

ye sard sard si galiyan bujhe bujhe raste

inhe hum apni mohabbat ki dhoop de jaaye

ye sard sard si galiyan bujhe bujhe raste

inhe hum apni mohabbat ki dhoop de jaaye

udaas mitti ko wo rango roop de jaaye

ke mausamo ki juba pe humara naam rahe

bichhad bhi jaaye ho ho

bichhad bhi jaaye

to kayam, dua salaam rahe

mohabbato ka ye andaaz subah-o-shaam rahe

bichhad bhi jaaye ho ho

bichhad bhi jaaye

to kayam, dua salaam rahe

dua salaam rahe

dua salaam rahe

dua salaam rahe

dua salaam rahe

dua salaam rahe

Explore this song