Roman script

meethi meethi yaad teri

dil tadpaa gayee

meethi meethi yaad teri

dil tadpaa gayee

kaali kaali raat mere

sapnon pe chhaa gayee

dil tadpaa gayee

meethi meethi yaad teri

dil tadpaa gayee

pyaar banaane waale

kaisa ye pyaar hai

dard hi dard hai

kaanton ka haar hai

kaanton ka haar hai

un ki judaai mohey

paagal banaa gayee

dil tadpaa gayee

meethi meethi yaad teri

dil tadpaa gayee

jeevan se lambi ho gayee

birhaa ki raat re

aankhon ne meri dekho

gham ki barsaat re

gham ki barsaat re

yaad jo aayee un ki

dil ko jalaa gayee

jiyaa tadpaa gayee

meethi meethi yaad teri

dil tadpaa gayee

Explore this song