Roman script

milti hai ahledin ko rahat namaz me

hoshida hai khuda ki mohabbat namaz me

milti hai ahledin ko rahat namaz me

hoshida hai khuda ki mohabbat namaz me

sun kar azan jo koi maszid me jayega

jannat me apna ghar wo yakinan banayega

allah ka karam hai namazi ke waste

sirdash hai naram hai namaze ke waste

majhab ke har asul ki sartaj hai namaz

or aashiko ke waste mehraz hai namaz

mashur hai ye ik namazi ka wakiya

sahid ki vidai ka gazi ka wakiya

rahe khuda me ladne chala ek nojawa

ruksat hua jo beta to boli ye uski ma

rakha asul pak ki farman ka khyal

ek waqt ki namaz bhi chute na mere lal

jannat ki hai ye kunji bujurgo ki ray me

gazi namak padhte hai devo ke saye me

samjha chuki jab apne chahete ko pyari maa

wada kiya namaz ka  ruksat hua juda

dunia judai ka ye sama dekhti rahi

beta chala jihad ko maa dekhti rahi

kurban hone raj dulara chala gaya

afsos budhi maa ka sahara chala gaya

mamata tadap ke rah gayi arman so gaye

kal kissa is tarah se kayi sal ho gaye

maa ki har ek aarzu gum se badal gayi

bete ka khat na aaya na koi khabar mili

lekin wo har namaz me karti thi ye dua

allah muh dikhana mujhe mere lal ka

ek din ka wakiya hai ke jab padh chuki namaz

kahne lagi khuda se ke aye rabdekar saj

ro ro ke tere samne kab tak dua karu

aaye wo din ke sukar ka sajda ada karu

mashul thi dhadkano me wo bejuba

or us taraf dikhata hai manjar ye aasma

ek jakham kaleje pe taja liye hue

kuch log aa rahe hai janaja liye hue

ranjo alam se unka jigar pas pas hai

kandhe pe ek jawan mujahid ki lash hai

afsos budhi maa ko isi ki talash thi

wo lash us garib ke bete ki lash thi

rakha gaya janaja jab uske makan par

bijli si ek chamakne lagi

aasman par andaher hai jamane pe koi asar nahi

bete ki lash aayi hai maa ko khabar nahi

dekhegi lash maa to kayamat uthayegi

mayyyat jawan bete ki dekhi na jayegi

kya jurm hai sitam hai idhar mar gaya jawa

or us taraf khuda se dua mangti hai maa

wakif hai tu garib abhagan ke hal se

allah ab mila de tu mujhe apne lal se

aayega mera lal to dulha banaungi

mai uske sar pe phulo ka sehra sajaungi

hai ek hi to aasra wo mujh garib ka

ghar ka chirag hai to ujala nasib ka

jab mang kar dua uthi wo sahe benasib

dekha tamam logo ne ye wakiya azib

aisa asar dihkaya duao namaz ne

murde me jan dal di us benayaz ne

hairat se dekhne laga har chota or bada

beta utha or amma ke kadmo pe gir pada

kya lutf hai namaz pe ye man jaiye

yani khuda ki shan ke kurban jaiye

kurban jaiye kurban jaiye

kurban jaiye kurban jaiye

Explore this song