Roman script

milkar juda huye to na soya karenge hum

milkar juda huye to na soya karenge hum

ek dusre ki yaad mein roya karenge hum

milkar juda huye to

aansu chalak chalak ke satayenge raat bhar

aansu chalak chalak ke satayenge raat bhar

moti palak palak mein piroya karenge hum

ek dusre ki yaad mein roya karenge hum

milkar juda huye to

jab dooriyo ki yaad jab dooriyo ki yaad

dilo ko jalaayegi

jab dooriyo ki yaad dilo ko jalaayegi

jismo ko chandni mein bhigoya karenge hum

ek dusre ki yaad mein roya karenge hum

milkar juda huye to

agar de gaya daga hame toofan bhi kateel

agar de gaya daga hame toofan bhi kateel

sahil pe kashtiyo ko duboya karenge hum

ek dusre ki yaad mein roya karenge hum

milkar juda huye to na soya karenge hum

ek dusre ki yaad mein roya karenge hum

milkar juda huye to

Explore this song