Roman script

meri tumse yahi vinati hain 
suno re jag walo 
mera girdhar mera ghanshyam 
mujhe lauta do 
meri tumse yahi vinati hain 
suno re jag walo
mera sukh hain mere jivan ka sahara hain wo 
mera sab kuchh mera mohan mera pyara hain wo 
praan le lo mere 
praan le lo mere, bhagwaan mere mat chhino 
meri tumse yahi vinati hain 
suno re jag walo 
mera girdhar mera ghanshyam 
mujhe lauta do 
meri tumse yahi vinati hain 
suno re jag walo
bhikh de do mujhe samjho ki bhikharan hu main 
apane girdhar ki murari ki pujaran hu main 
mere jivan ka 
mere jivan ka, mere man ka ujala de do
meri tumse yahi vinati hain 
suno re jag walo 
mera girdhar mera ghanshyam 
mujhe lauta do 
meri tumse yahi vinati hain 
suno re jag walo

Song details

Song video

Watch on YouTube

lyricist: Nashtar Hinganghaati, Poojari