Roman script

Meri tanhaiyon mein

Tumhara hi naam hai

Tumne suna kya?

Bas tumko dekhna

Mujhko pasand hai

Ye tumko hai pata kya?

Ye lamhe ba-khabar hain

Humari chaahaton se

Aur mujhko khumaar hai bas

Tumhare deedar ka

Tumhare deedar ka

Tumhare deedar ka

Tumhare deedar ka…

Aa titliyon se ye lamhein sawaarein

Yaadon ki dibiya mein inko utaarein

Fursat mein baithe hum

Dono chalte wahaan

Ho subah ka na shab ka nisaan

Meri angdaaiyon mein

Tumhara hi naam hai

Tumne suna kya?

Bas tumko dekhna

Mujhko pasand hai

Ye tumko hai pata kya?

Befikri hi ho ek sang humaare

Duniya ki na ho, haan parwah jahan pe

Aise hi sapne dekhe dil bezubaan

Sajde mein tere ho, hai ye duaa…

Meri parchaiyon mein

Tumhara hi naam hai

Tumne suna kya?

Bas tumko dekhna

Mujhko pasand hai ye

Tumko hai pata kya?

Explore this song