Roman script

jab chot kabhi mere lag jaati thi

to aankh teri bhi to bhar aati thi, maa o maa

jab chot kabhi mere lag jaati thi

to aankh teri bhi to bhar aati thi

ek chhoti si phuk se teri, sabhi dard mere hote thhe gum

aaj bhi koi chot lage to, yaad aati ho, yaad aati ho tum

aaj bhi meri aankh bhare to, yaad aati ho, yaad aati ho tum

maa meri maa meri maa, o maa meri maa, meri maa maa

teri baato me apni har ik me, uljhan ka hall pa leta tha

tere hatho ki roti aksar hi, bhukh se zyada kha leta tha

tera hissa me tera qissa me, jo sabko sunaati ho tum

aaj bhi meri baat chale to, yaad aati ho, yaad aati ho tum

aaj bhi meri aankh bhare to, yaad aati ho, yaad aati ho tum

maa meri maa meri maa, maa meri maa, meri maa maa

haaru ya jitu mujhko tu apna, raja beta hi kehati thi

ho meri galti ko apne kehkar, dant bhi baba ki sehti thi

tera dena maa de na paau me, raah ab bhi dikhati ho tum

aaj bhi koi dhatkan ho to, yaad aati ho, yaad aati ho tum

aaj bhi meri aankh bhare to, yaad aati ho, yaad aati ho tum

o meri maa meri maa, meri maa, meri maa maa

Explore this song