Roman script

jab chot kabhi mere lag jaati thi

to aankh teri bhi to bhar aati thi, maa o maa

jab chot kabhi mere lag jaati thi

to aankh teri bhi to bhar aati thi

ek chhoti si phuk se teri, sabhi dard mere hote thhe gum

aaj bhi koi chot lage to, yaad aati ho, yaad aati ho tum

aaj bhi meri aankh bhare to, yaad aati ho, yaad aati ho tum

maa meri maa meri maa, o maa meri maa, meri maa maa

teri baato me apni har ik me, uljhan ka hall pa leta tha

tere hatho ki roti aksar hi, bhukh se zyada kha leta tha

teri baato me apni har ik me, uljhan ka hall pa leta tha

tere hatho ki roti aksar hi, bhukh se zyada kha leta tha

tera hissa me tera qissa me, jo sabko sunaati ho tum

aaj bhi meri baat chale to, yaad aati ho, yaad aati ho tum

aaj bhi meri aankh bhare to, yaad aati ho, yaad aati ho tum

maa meri maa meri maa, maa meri maa, meri maa maa

kone ko thame tere aanchal ke, befikra me so jaata tha

mere dil me kya hai tere bina maa

koi samjha hi naa pata tha

jo ho sang tu na to ho jag suna, pyaar itna jatati ho tum

aaj bhi koi saath na de to, yaad aati ho, yaad aati ho tum

aaj bhi meri aankh bhare to, yaad aati ho, yaad aati ho tum

o meri maa meri maa, meri maa, meri maa maa

Explore this song