Roman script

maa ko pukarkar pucha bachhe ne

aaya kahan se ho maa bolo to

pada kaha paya gaya bolo to

sunkar sawal yeh maa ke stano se uphal pada dudh

aur beh aaya aankho se uttar

mere lal tum to hamesha the mere mann ki abhilasha me

mere tan ki paribhasha me bachpan ke gudiyaghar me

kitni bar tujhe khelte khelte toda todte todte joda

pakar khoya or khokar paya hai kaha se batau tu aaya hai

pada tujhe maine kaha paya hai mere lal

mila tha mann ko mere jab ik tan

upja tha tu hi ik madhur chhand ban

gaat gaat ang ang mehka tha chhan chhananan

os bhari subah se suhag ke sangit se sab ki manuhar se

indradhanushi sapno sa aaya hai kaha se batau tu aaya hai

pada tujhe maine kahan paya hai mere lal

tu ha tu hi to hai meri amar aasha subah ka sapna

maa aur dadi ki sunhari khwahish

prem ki parampara khwab ki khwahish

aur prem ki asha se bani teri kaya hai

kaha se batau tu aaya hai

pada tujhe maine kaha paya hai mere lal

Explore this song