Roman script

uski aankhe ganga jamuna 

uski aankhe ganga jamuna 

lab pe bansi ki taan hai

uss rup ko dekh ke toh kudrat bhi hairan hai

woh ladki hai ke mera hindustan hai

hindustan hai hindustan hai hindustan hai

jab uski chudi khanakti hai mujhko watan yad aata hai

jab us ka aanchal mehekta hai mujhko chaman yad aata hai

mujhko watan yad aata hai

mast hawaon sa yauwan gunchu si muskaan hai

woh ladki hai ke mera hindustan hai

hindustan hai hindustan hai hindustan hai

sune sune sune sune sune mere mann ke mandir me

wo ek diya ban ke aayi hai maine use padhke dekha hai

wo chahato ki rubayi hai masum chanchal naweli

duniya se aanjan hai

wo ladki hai ke mera hindustan hai

hindustan hai hindustan hai hindustan hai

dono jahan ko bhula ke khoya tha main bekhudi me

jine ki jagi tamanna jab woh mili jindagi me 

jab woh mili jindagi me 

uski haya sadagi pe diwana kurban hai

wo ladki hai ke mera hindustan hai

uski aankhe ganga jamuna lab pe bansi ki taan hai

us rup ko dekh ke toh kudrat bhi hairan hai

wo ladki hai ke mera hindustan hai

hindustan hai hindustan hai meri jaan hai

Explore this song