Roman script

mele hain chiraago ke rangin diwali hai
mahaka hua gulshan hai hansata huwa maali hai

iss raat koyi dekhe dharati ke najaaro ko
sharmaate hain yeh dipak aakaash ke taaron ko

iss raat kaa kya kahana iss raat kaa kya kahana 
yeh raat niraali hai
mahaka hua gulshan hai hansata huwa maali hai
mele hain chiraago ke rangin diwali hai
mahaka hua gulshan hai hansata huwa maali hai
kha jaaye najar dhokha juganu hain ya phulajhadiya
barat hai taaron ki ya rang bhari ladiya

honthon pe taraane hain honthon pe taraane hain 
bajati huyi taali hai
mahaka hua gulshan hai hansata huwa maali hai
mele hain chiraago ke rangin diwali hai
mahaka hua gulshan hai hansata huwa maali hai

Song details

Song video

Watch on YouTube